Barishon se mohabbat humari kaise bayaan karein,
Jisne cheen liya humsafar mera un hawaaon ke saath🙂
Main dhoondta raha un boondo mein usko,
Le udd gaya vo baadal usey unn fizaon ke saath....
Ye gun gunaate se nagmein hai,
Jo labon pe mere aaj kal,
Ye meri mohabbat ke sadme hai,
Jo unki yaad se hain aaj kal,
Dil bhool gaya hai usko ispe kaise aitbaar karu,
Din raat jo yaad aatein hai khwaab unke aaj kal..
Iss aashiqui se vaasta mai chord dunga yaaro,
Jhoothe khwabon ka aasman bhi tod dunga yaaro,
Ye bewafayi ki hawa jo zamane ne mujh pe ki hai,
Ye barishon samet wapis mod dunnga yaaro...
Aaj manzar hai zindagi ka unke bagair kya karein,
Ye mausam hi behaal itna pair kya karein,
Doob jau to sambhaal lena mujhe girne mat dena,
Gadhe agar sadkon pe ho pushtani mehal kya karein....
Bs akhir mein guzarish bs itni si baaki hai,
Meri kalam mere lafzon ki ek khoobsurat saaki hai,
In baarishon mein aksar main bheegh jaaya karta tha,
Ye dekhte ki khuli ho shayad uske kamre ki jo taaki hai....
4.)"School Love Story"-: Fourth Hindi Poem
Hum-umar se the hum uss umar mein jab aapse mulakaat hui,
Roz nahi magar kabhi kabhi apse iss dil ki baat hui,
Aapki muskurahat iss dil pe kuch yu chaane lagi,
Itni thand mein jaise patiyon par oss ki boonde aane lagi,
Aankhon hi aankhon mein haal poochna,
Wahi roz wala sawaal poochna,
Kaisa raha aapka din,
Orr humara fir dobara unka haal poochna,
Kuch lamhe un dino ke mera din sanwaar dete the,
Unse haath milakar hum bhi apna pyaar jata dete the....
Kuch pal baat hoti thi ghar ki orr jaate huye,
Sara waqt nikal jaata tha apne halaat samjhate huye,
Jee to karta tha ki ghar thoda door ho jaye,
Orr thodi baat krne ke liye hum dono majboor ho jaye...
Raat hote hi vo saari baatein yaad karna,
Unki adaao par mera yu roz roz marna,
Deta tha ishare hume ishq ke uss waqt,
Par izhhaar na karte unki dosti tootne se darna...
5.) "I am Sorry"-: Fifth Hindi Poem
Sorry.. Kya lafz hai na ye
Ek pal mein tod bhi sakta hai,
Or ek pal mein jod bhi sakta hai....
Hume shayad kabhi samajh hi nahi aaya ki isey istemaal kaha karna hai....
So aaj iss sorry ke upar izhaar karte hai...
Uss mod par zindagi ke tu chali gayi,
Chord kar adhoora iss shayar ko,
Han tu chali gayi...
Mai dhoondta raha uss mohabbat ko apni,
Jo zindagi ke andhere mein kahi kho gayi thi,
In sitaaron ke beech uss chaand ke paas,
Apni yaadon ko aasman mein piro gayi thi....
Jhootha tha saara uski mohabbat ka dikhawa,
Mai kya krta usey dhoondne le alawa,
Choone se uske thehr jaata tha mai,
Orr kya karta mai usey mohabbbat ke alawa...
Meri umeedon ka sankal bikhar sa gaya tha,
Mai pirone laga tha jab zindagi mein usko,
Manzoor na tha khuda ko ye shayad,
Jo jaan ne laga tha mai kareeb se usko...
Vo din aaya jab kismat mein judaayi likhi thi,
Meri mohabbat ki qismat mei duhayi likhi thi,
Bas maafi ka ikraar vo kar gayi uss din,
Jiss din meru zindagi se uski rihayi likhi thi....
Comments
Post a Comment
Please do not Enter any spam link in the comment box.